by Sohail
12. September 2008 09:08
kal jo hova hai dafaa'tan us sey mera mukalma
khoobi-e-ikhtasaar ka ka tajaruba kuch unique hai
main ney kaha k jaan-e-man, us ney kaha key kia kahaaa?
main ney kaha key kuch nahen, us ney kaha key theek hai
------------------------------
--------
qabil -e-nafarat hai kyun wo sari duniya key liay
aik lamhey key liay bhi us ney yeh socha nahen
wo zamaney bhar ko dehshat gard kehta hai magar
koi dehshat gard uski gard ko pohancha nahen
------------------
jiski khushboo sey mehak uthay meri araz-e-watan
adalia mein adal ka wo phool khilna chahyeh
kam sey kam itna to hona chahyeh iss dais mein
munsif-e-aala ko to insaaf milna chahyeh
-----------------
nikalta hai key aadhi raat tak roo-posh rehta hai
hamein maloom ho kaisey key iska mudaa' kia hai
munasib hai yeh key ab to har ik eid sey pehlay
kamaiti chaand sey poocha bata teri raza kia hai
933c8c3d-a472-4a81-a5c5-c328bea0f555|0|.0
Tags: